Youthful skin paane ke liye collagen ko increase karne ke 9 tips

Collagen aapki skin mein paaya jaane waala sabse common protein hain. Collagen skin cells ko repair aur maintain karne mein help karta hai, aur aapki skin ko hydrated rakhta hai. Jab collagen ka level high hota hai, toh skin soft, shiny aur firm hota hain. Lekin, jaise-jaise aapki age badhti jaati hain, aapka shareer kam collagen ka production karta hai. Aapka body 20 saal ki age ke baad har saal 1% kam collagen ka production karta hai. Haan, sirf 20! bahut jaldi hai yeh?

Wrinkles aur burnt skin iss baat ka indication hai ki aapki body kam collagen ka production kar raha hain. Yadi aap apni skin mein changes dekhna shuru kar rahe hain, toh collagen-enriched food aapki priority honi chahiye.

Collagen ko increase karne ke easy aur natural tarike:

Aloevera gel

✔ Aloevera gel ka use cut aur burns par kiye jaane ka kaaran yeh hai ki aloevera ka plant aapki skin mein collagen ko increase karta hai.

✔ Aap apni skin par seedhe iske gel ko laga sakte hain ya phir khaane ke roop mein le sakte hain jo aapki skin mein collagen ko increase karta hai aur aapki skin ki quality ko sudhaarne mein help kar sakta hai.

Vitamin C Food

✔ Vitamin C Hyaluronic acid ke production ke liye important hai, jo age badhne ke saath kam hota jaata hai. Hyaluronic acid human body mein collagen production ko badhaane mein help karta hai jo aapki skin ke liye important hota hai.

✔ Orange, tomato, guava, kiwi, capsicum, strawberry, papaya, sprouts aur broccoli jaise khaana khaaye jo vitamin C se bharpur hain.

Coriander

✔ Coriander leaves mein vitamin C paaya jaata hai, jo collagen production se juda hota hai.

✔ Yeh herb jiska aap daily ke khaane mein use karte hain, ismein linolenic acid hota hai, jo aapki skin ke liye ek powerful anti-aging factor hai.

Omega fatty acid

✔ Fish aur baaki khaano mein paaye jaane waale protein aur fatty acid aapki skin mein collagen ko protect karte hain.

✔ Yadi aap wrinkles free skin paana chaahte hain, to apne diet mein omega fatty acid ko shaamil karein.

Antioxidants

✔ Antioxidant collagen production ke effectiveness ko badhaate hain aur skin ko phir se awaken karte hain.

✔ Yadi aap wrinkle-free skin chaahte hain, to apne diet mein antioxidant se bharpur green chai, jaamun aur anya foods ko shaamil karein.

Apni skin ko acchi tarah se hydrate karein

✔ Paani peekar aap apni skin ko hydrate rakhein taaki collagen ko badhaava de sakein.

✔ Jab aapki skin acchi tarah se hydrated hoti hai, to collagen ka production aasaani se hota hai.

Collagen skin-care products

✔ Skincare products ka use karein jo aapki skin mein collagen ka level badhaata hain.

Pata nahin ki aapki skin ki dekhbhaal ke liye kaun se skin care products sahi hain? apne skin specialist ko aapke liye select karne dein!