Kya aapko bataaya gaya hai ki aapki skin oily ya dry ya combined ya sensitive hai ya, sabhi ke liye sabse important, healthy hai? Yeh hamesha sahi nahin hota! Sach to yeh hai ki hum mein se kaafi logon ki skin combined hoti hai. So, agar skin type important nahin hai, to aapko apne skincare products skin type ke basis par kyun choose karna padta hai?

Yeh maante hue ki aapki skin normal, dry, combined ya sensitive hai, main aapko 5 reasons bataane jaa raha hoon ki kyon aapki skin type ko jaanne se koi difference nahin padta:

Reason # 1: Aap apni skin type ko galat bhi pehchaan sakte hain

Skin ke type ka pata lagaana aasaan nahin. Hamaari skin bahut saare factors se influence hoti hai: genetic, mausam, khaana, lifestyle etc. Aapki skin type bhi samay ke saath badal sakta hai. Summers mein aapki skin oily ho sakti hai, winters mein aapki skin dry ho sakti hai, aur winters aur fall mein, aapka skin dono ka combination ho sakta hai kyunki aapki skin mausam ke according change hoti rehti hai.

Isilye apne skin type ko jaanne ke liye specialist se consult karna chahiye. Jab tak aap kisi skin specialist ke paas nahin jaate hain, aap apni skin type aur unke needs ko nahin samajh paayenge.

Reason # 2: Aapki skin aapki age aur genetics par depend karti hai

Aapki age ke according aapki skin ke type mein parivartan hota hai, aur agar aap ek lady hain to yeh especially sach hai. Jab skin jawaan hoti hai, to ismein acche quantity ka acid hota hai; jaise-jaise aapki age increase hoti hai, toh yeh acid aur bhi basic ho jaata hai. Healthy skin kaafi acidic hoti hai. Extra acidity ke saath, aapki skin harmful germs ko fight kar sakte hain jo age badhne ki proess ko increase kar sakta hai.

Aapki skin ka type (dry, normal, combined ya sensitive) aapke genetic ki wajah se bhi ho sakta hai. Jis tarah aapko apne mon-dad aur grandmom-granddad se aapka eye color, hair color aur body type milta hai, waise hi aap apni skin ke type ko bhi paate hain. Apne family par dhyaan dein kyunki yeh aapki skin ke liye sabse effective skincare select karne ka better way hai.

Reason # 3: Aapki skin aapki lifestyle par bahut depend karti hai

Aap jo bhojan khaate hain, usmein shaamil hone waali physical activities ki maatra bhi aapki skin ke type ko affect karti hain. Jaise ki zyaada processed food khaana, smoking aur excessive drinking aapke body mein swelling la sakti hai, jisse aapke chehre par dark circles aur pimples jaise unwanted skin changes ho sakte hain.

Apart from this, sun rays, sleeping hours, aapka mood, periods , stress, etc jaise factors hain jo aapke skin ke conditions ko affect karte hain. aap jis climate mein reh rahe hain, air pollution bhi aapki skin ko affect kar sakta hai. Lambe time mein aapki skin ki help karne ke liye aap kya change kar sakte hain, iss baat ka dhyaan rakhein.

Reason # 4: Skin ki condition skin ke type pe depend nahin karti

Skin men sensitivity aapke samoking ki aadat ke kaaran bhi ho sakti hai. Sensitive skin type ke products ka use karne se aapki problems ko theek karne mein help nahin milegi.

Periods hone ki wajah se ho sakta hai ki aapko pimples ho rahe hain, iska matlab keval yeh hai ki aapki skin ki problems badal gayi hain, lekin aapki skin ka type wahi hai.

Skin ki condition, skin ke type ke comparison mein temporary hota hai. Aapko apni skin ki condition aur aapke skin ke type ke liye alag product khojne ki zaroorat hai. Agar aap apni skin ki condtion sudhaarne mein unsuccessful rahe, to iska matlab aap real problem ko ignore kar rahe hain.

Reason # 5: Aapki thinking se kaafi complex hai aapki skin

Skin hamaare body ka sabse bada part hai aur hum jitna sochte hain usse kahin zyada kaam karta hai. It is super complex!

Skin humein hamaare internal health ke baare mein bataati hai. Aapki skin aapko aapke hidden condtions ya diseases ke baare mein bataati hain. Kuch skin ki problems temporary hoti hain, kuch permanent. Agar aap skin specialist nahin hain, to yeh samajhna mushkil hai ki aapki skin ka type kya hai aur aapki skin ki conditon kya kehna chaahti hai.

Kisi skin specialist se contact karein agar aapko lagta hai ki aapko apni skin ko jald se jald help ki zarurat hai. Wo jaante hain ki aapki skin ke liye kya accha hai!

Apne skin ki problems ko ek skin specialist dwaara apne phone par ek button dabaakar analyse karvaayein.