Hum mein se bahut log skin ko ek outer layer hi samajhte hain. Kya hum jaante hain ki hamaari skin hamaare internal health ke liye ek mirror hota hai? Skin care products mein invest karna useless ho sakta hai agar aapki health andar se theek naa ho.

Hamaari busy lifestyle hamaare apne liye time nikaalna difficult kar deta hai; isi reason se hamaara physical aur mental health usually hamaare work se pichhe chala jaata hai aur agar hamaara mental aur physical state hi theek nahin hain, to phir hamaare work karne  ka kya fayda hai?

CureSkin ki skin specialist Dr. Jisha aapko aapki skin ke health ke baare mein kuch important facts bataayengi.

Hum jo khaate hain, Wahi hain!

Always remember ki hum jo bhi khaana khaate hain wah hamaari body banaata hai. Humaari skin ki quality hamaare food par depend karti hai. So, khaana sirf hunger aur taste ke bajaaye nutrition aur health ke liye khaana chahiye.

Hum wah hai jo hum sochte hain!

Skin aur mind dono connected hai! Yeh prove kiya jaa chuka hai ki stress, dipression, tension aur other mental conditions pimples etc jaise skin infections ke nikalne mein unka help karte hain. “Aapki skin aur central nervous system connected hain,” Dr. Adam Friedman, New York ke Montefiore Medical Center mein dermatological research ke director ka aisa maanana hai. Kayi baar, aapki skin ke problems ka treatment aapke mind mein ho sakta hai. Hamesha dhyaan rakhein ki aap stressful life naa jiye, kyunki yeh kisi bhi cheez ke worth nahin hota.

Lifestyle ko improve karein

Kuch samay ke liye roz silent rehna chahiye

Har time ‘busy’ rehna band karein. Apne har din ke time mein se thoda samay nikaalein. Excercise karein ya games mein participate karein, reading ki habit daalein ya apne friends or family ke saath kuch time spend karein. Apne mind ko recharge karte rahein by taking a break. Aisa karne se, aap na keval apni skin ki health mein hi, balki apne poore health mein bhi ek positive change dekhenge.

Khush rahein

Hapiness ki feeling aapki skin ke health par achha effect karti hain. Happy logon ki skin healthy hoti hai aur unki skin bhi bahut slowly old hoti hai. Har thought, har experience aur har action ka aapki skin par effect hota hai. Negativity aapke body ke balance ko gadabad kar sakta hain. Negative baatein sabhi ko affect karti hain lekin hamesha good life ke liye thankful ho jo abhi bhi aapke paas hai।

All in all, jab mind aur body dono healthy hote hain, toh aapki skin pe difference padta hai, wah dusron ko bhi saaf dikhaai deta hai.